jo dil ne kah di hai wo baat an-kahi bhi na thi ye mauj to tah-e-dariya kabhi rahi bhi na thi jhuken jo sochti palken to meri duniya ko dubo gai wo nadi jo abhi bahi bhi na thi sarak gaya koi saya simat gaya koi dur kisi ke aks ki pyasi kashish sahi bhi na thi suni jo baat koi an-suni to yaad aaya wo dil ki jis ki kahani kabhi kahi bhi na thi nagar nagar wahi aankhen pas-e-zaman pas-e-dar meri khata ki saza umr-e-gumrahi bhi na thi kisi ki ruh tak ek fasla khayal ka tha kabhi kabhi to ye duri rahi-sahi bhi na thi nashe ki rau mein ye jhalka hai kyun nashe ka shuur is aag mein to koi aab-e-agahi bhi na thi ghamon ki rakh se 'amjad' wo gham tulua hue jinhen nasib ek aah-e-sahr-e-gahi bhi na thi