kahin pe gard kahin par hawa banati hun main khud ko ab to bas apne siwa banati hun kahin pe tare kahin par hain aas ke jugnu khizan mein bhi main gulon ki faza banati hun bikhar gae the kisi nam ke huruf kahin ab un ko jod kar ek aaina banati hun ye tai hai us ko agar laut kar nahin aana to kis liye main dua ko asa banati hun ujalta hai ye tarikiyan mere dil ki tumhaari yaad ko har pal diya banati hun jab apne ashk chhupati hun muskurahat se to apne dard ko apni dawa banati hun tarash kar kisi patthar ke ek paikar ko kamal-e-ishq se us ko khuda banati hun ki khwab mein rahe ta-der guftugu tujh se zara si baat ko main waqia banati hun suna tha main ne jo 'shahin' ek lamhe ko is ek lamhe ko apni sada banati hun