jo dil pe guzarti hai wo samjha nahin sakte hum dekhne walon ko nazar aa nahin sakte be-qaid-o-rusum aai hain gulshan mein bahaaren ab hath gareban ki taraf ja nahin sakte rangini-e-mustaqbil-e-raushan hai nazar mein hum talkhi-e-mahaul se ghabra nahin sakte maghrur na ho fazl-e-khizan aa ke chaman mein aise bhi hain kuchh phul jo murjha nahin sakte mana wo mujhe apni nigahon se gira den lekin mere ehsas ko thukra nahin sakte arbab-e-khirad lakh subuk-gam hon lekin be-faiz-e-junun rah-e-talab pa nahin sakte mana ki tere lutf-o-karam khwab hain lekin har shakhs ko ye khwab nazar aa nahin sakte tafsir-e-do-alam hai 'shakil' apna taghazzul maidan-e-ghazal chhod ke hum ja nahin sakte