zehn mein daere se banata raha dur hi dur se muskuraata raha main samundar nahin chand ko ilm hai raat bhar phir bhi mujh ko bulata raha aankh mein khema-zan nil-gun wusaten apna pahla qadam hi khalaon mein hai jo jafa ke jazira-numaon mein hai dil ka us khak-e-khasta se nata raha kaj-adai ki chadar se munh dhanp kar sone wala sar-e-sham hi so gaya khushk yaadon ke patton bhare khet mein sanp sa raat bhar sarsaraata raha der tak zard aandhi si chalti rahi sans bujhti rahi shama jalti rahi jaan pighalti rahi raat dhalti rahi main na rutha magar wo manata raha an-suni si sadaon ke ghere mein tha dekhte dekhte ghup andhere mein tha wo mujhe pa ke duniya ke bakhshe hue sab ke sab khote sikke chalata raha aazmaish mein hai wo ghadi id ki chand ne jis ke aane ki taid ki ek phate pairahan par pasine ki tah ek ghar khushbuon mein nahata raha