jo ek umr hansa tha mujhe satate hue wo ro pada hai meri dastan sunate hue kisi ke pyar ki ye aakhiri nishani hai hawa ne ye bhi na socha diya bujhate hue tumhein bhi waqt ki gardish nigal na jae kahin zara khayal ho meri hansi udate hue wo shakhs jis ka talluq na tha koi mujh se ye kya ki rone laga mujh se dur jate hue nigah-e-naz ki farma-rawaiyan tauba wo muskura bhi rahi thin saza sunate hue ilaj apne andheron ka aap khud kije kumhaar thak se gae hain diya banate hue ghula hai dard fazaon mein is tarah 'sadiq' ki jaan jati hai ek bar muskuraate hue