jo fan se fikr ki tadbir guftugu karegi to gungi-bahri bhi taswir guftugu karegi main jite-ji use aisa hunar sikha dunga ki mere baad ye tahrir guftugu karegi adalaton mein gawahi hamein mile na mile hamare panw ki zanjir guftugu karegi isi ummid pe aankhon ke khwab zinda hain ki ek din kawi tabir guftugu karegi pighal hi jaega wo sang-dil kisi din jab mere zaban ki tasir guftugu karegi badan se kar ke badan ki samaaton ko dur ye sans ruh se aakhir guftugu karegi