ab dard-e-mohabbat ko ai dil minnat-kash-e-darman kaun kare khud apne hi hathon ulfat ka barbaad gulistan kaun kare jab yaad kisi ki aati hai ek barq si lahra jati hai jab hum hi dard ke khwahan hon phir dard ka darman kaun kare is shan-e-taghaful par aakhir ji chhut gaya dil tut gaya jab dil hi hamara tut chuka phir aap ko mehman kaun kare jab barq-e-tapan lahra lahra angdai falak par leti ho us waqt nasheman kaise bane tazin-e-gulistan kaun kare ab tark-e-sitam ke kya mani har roz naya gul khilne do do-chaar darakhshan daghon se dil rashk-e-gulistan kaun kare maqsud hai qadr-o-qimat bhi zebaish-e-husn-e-khuban ki har khun ke aansu ko lekin ab lal-e-badakhshan kaun kare ab yas ka aalam tari hai ye raat bhi hum par bhaari hai ai 'jauhar' us ke wadon par ab zist ka saman kaun kare