jo faqat shokhi-e-tahrir bhi ho sakti hai wo mere panw ki zanjir bhi ho sakti hai sirf virana hi ghamgini ka bais to nahin ahd-e-mazi ki wo taswir bhi ho sakti hai chashm-e-hasrat se jo tapki hai lahu ki ek bund subh-e-ummid ki tanwir bhi ho sakti hai ranj-o-gham thokaren mayusi ghutan be-zari mere khwabon ki ye tabir bhi ho sakti hai bad-guman hai to wahi morid-e-ilzam ho kyun kuchh na kuchh to meri taqsir bhi ho sakti hai hosh qaem rahen tufan-e-hawadis mein agar bach nikal jaane ki tadbir bhi ho sakti hai tirgi bakht ki samjho na use tum 'akhtar' multafit zulf-e-girah-gir bhi ho sakti hai