lamhon ne yun samet liya fasla bahut main ne padha to kuchh na tha lekin padha bahut kitne junun-nawaz bichhad ke chale gae josh-e-junun ke sath na tha walwala bahut duba safina jis mein musafir koi na tha lekin bhare hue the wahan na-khuda bahut sau daeron mein bat ke numayan na ho sake socho agar to hoga bas ek daera bahut shayad yahi kitab-e-mohabbat ho la-jawab meri wafa ke sath hai teri jafa bahut zakhmon ke sath sath namak-pashiyan bhi thin dekha hai mere ishq ne ye silsila bahut aankhon mein dam tika hai wo aa jaen is ghadi dast-e-talab hai mere liye ye dua bahut tujh ko 'shahid' sada-dili ki nazar lagi imkan warna tere liye bhi raha bahut