jo fasla hai main usko miTa ke dekhunga

jo fasla hai main us ko mita ke dekhunga
main us ke chehre se parda hata ke dekhunga

wo apne husn meri aarzu ke zoam mein hai
main us ke but ko kisi din gira ke dekhunga

wo takht chhod ke apna zarur aaega
main aasman ko sar pe utha ke dekhunga

mere firaq mein us ka bhi haal mujh sa hai
main aap ja ke ya us ko bula ke dekhunga

zamana dekhega ek hashr aaj botal mein
main ab sharab mein aansu mila ke dekhunga

misal-e-musa meri aankh mein hai khu-e-jamal
mein ja ke tur pe khud ko jala ke dekhunga

rukega kaun gharibi mein mere sath 'raza'
charagh-e-khema-e-dil ko bujha ke dekhunga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close