jo ghair ke jazbaat ki tazim karega wo apni khataon ko bhi taslim karega main us ko milungi bhi to tukdon mein milungi taslim se pahle mujhe taqsim karega haq baat bhi baatil si lage shirin zaban mein wo lahje ko is waste ab nim karega wo kaam jahan bhar ki dawaen na karengi jo kaam mohabbat ka faqat mim karega be-kar mein hum mangte rahte hain duaen kyon apne hi likkhe mein wo tarmim karega