bahut hain roz-e-sawab-o-gunah dekhne ko ki hum hain zindagi-e-be-panah dekhne ko banegi ab nazar inkar so ruke hain sabhi khud apni aankh se apni nigah dekhne ko meri nawa ko jo pakizgi ata kar de taras raha hun wo masum chah dekhne ko main sang-e-rah nahin dil ke is do-rahe par khada hua hun faqat apni rah dekhne ko mila diya hamein apnon se shukriya ai waqt yahi mile the hamein yun tabah dekhne ko tunuk-mizaj hain hum yun na roz roz milo bahut hai aao agar gah gah dekhne ko jo mere bare mein mujh se bhi mo'tabar hai koi main ji raha hun tera wo gawah dekhne ko sun ai hamare siyah o safed ke malik hum aae hain wo safed o siyah dekhne ko tum aankh tak nahin malte macha ho jab kohram tum aankh kholte ho sirf wah dekhne ko wo chup to yun hai ki aagah jin ko karna tha jiye na lamha-e-yak-intibah dekhne ko ye kis ki aah lagi ghar nahin koi milta har ek makan hai khud sab ki rah dekhne ko khula ki dida-e-ibrat nigah koi na tha uthi thi yun to har ek ki nigah dekhne ko jo sab ki jaan ka janjal ye nibah hai 'talkh' main sab ke sath hun bas wo nibah dekhne ko