jo ghair the wo isi baat par hamare hue ki hum se dost bahut be-khabar hamare hue kise khabar wo mohabbat thi ya raqabat thi bahut se log tujhe dekh kar hamare hue ab ek hujum-e-shikasta-dilan hai sath apne jinhen koi na mila ham-safar hamare hue kisi ne gham to kisi ne mizaj-e-gham bakhsha sab apni apni jagah chaaragar hamare hue bujha ke taq ki shamen na dekh taron ko isi junun mein to barbaad ghar hamare hue wo e'timad kahan se 'faraaz' laenge kisi ko chhod ke wo ab agar hamare hue