kya kahun hasrat-e-didar ne kya kya khincha kabhi daman tera khincha kabhi parda khincha naqsh-e-ummid mere shauq ne ulta khincha mujh se khinchte hi gae wo unhen jitna khincha wo tere dil mein hamari bhi jagah kar dega jis ne is aankh ke til mein tera naqsha khincha khwab is dil pe teri aankh ne dore dale khub kajal ne teri aankh mein dora khincha tan lin donon bhawen dal ke nazren us ne tir chhode to kamanon ne bhi chilla khincha zabt-e-fariyaad se 'muztar' meri sansen uljhin rasm-e-fariyaad ne upar ko kaleja khincha