jo ham-kalam ho hum se usi ke hote hain hum ek waqt mein ek aadmi ke hote hain koi jahan mein khushi se guzarna chahe to be-shumar bahane khushi ke hote hain jamaliyat ke parche mein aath nau number faqat shaguftagi-o-dil-kashi ke hote hain kisi ke sath bhi baithe hue dikhai den tasawwuraat mein hum aap hi ke hote hain 'shuur' sirf irade se kuchh nahin hota amal hai shart irade sabhi ke hote hain