chashm mein kab ashk bhar late hain hum

chashm mein kab ashk bhar late hain hum
raat din moti hi barsate hain hum

jabki wo tir-e-nigah khate hain hum
sahm kar bas sard ho jate hain hum

jins-e-dil ko chhod mat ai zulf-e-yar
hai ye sauda muft thahraate hain hum

naseha dast-e-junun se kaam hai
kab ye chaak-e-jeb silwate hain hum

is qadar mat kar shararat shoala-khez
teri in baaton se jal jate hain hum

kaun kahta hai na kije imtihan
gar abhi kahiye to mar jate hain hum

khat but-e-nau-khat likhe hai ghair ko
pech-o-tab is waste khate hain hum

kholiye kya aankh manind-e-habab
turfat-ul-ain aah mit jate hain hum

chhedne se zulf ke uljho na tum
pad gaya hai pech suljhate hain hum

garche hain darwesh lekin ai falak
tujh ko khatir mein nahin late hain hum

nim nan ke waste kab jun hilal
tere aage hath phailate hain hum

gulshan-e-duniya hai nairangi ke sath
aur kuchh us ki rawish pate hain hum

kab ba-rang-e-bu-e-gul bahar saba
apne jame se nikal jate hain hum

jis qadar han dekhte hain odhna
panw yan utne hi phailate hain hum

kya karen kis se kahen na-chaar hain
dil ki be-tabi se ghabraate hain hum

koi bhi itna nahin kahta 'nasir'
sabr kar zalim use late hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close