jo hamara sharik-e-haal raha us ka har dam hamein khayal raha be-niyazi thi har ada un ki pyar apna magar bahaal raha hum na ghabrae hadson se kabhi takiya-e-rabb-e-zul-jalal raha aah mehnat-kashon ki majburi rozi roti ka hi sawal raha ho gai shahkar har takhliq ru-ba-ru jab tera jamal raha rah-e-manzil hui bahut aasan ham-safar jab bhi ham-khayal raha jis ne chaha na dil se apnon ko zindagi bhar wo pur-malal raha pai mearaj-e-zindagi us ne fikr-o-fan mein jo ba-kamal raha hum ne man-maniyan na kin 'nayyar' aal-o-aulad ka khayal raha