jo hasin zist ki taswir dikhai sab ne ek kahani thi suni aur sunai sab ne sirf khwabon ka sarabon ka safar jite hain zindagi ki jo haqiqat hai bhulai sab ne khud bana kar wo nai rasm kaha karte hain rasm to rasm hai phir rasm nibhai sab ne khun de de ke jise sab ne bujhaya tha kabhi jaane kyon phir se wahi aag lagai sab ne ahl-e-dil ke liye kya jaan ki bazi 'mita' jaan deni thi to phir jaan ganwai sab ne