han tera intizar hai ab tak mujh mein ek jaan-nisar hai ab tak wo jo mera kabhi hua hi nahin us ka hi ikhtiyar hai ab tak koi ummid to nahin phir bhi ek hasin intizar hai ab tak kya ye aawargi ki manzil hai har qadam su-e-yar hai ab tak har janam aag mein jali sita phir bhi wo daghdar hai ab tak