jo hijr main ne saha hai us ka hisab aata to mar na jata ya phir kabhi jo kahin achanak visal pata to mar na jata wo bewafa tha magar wo ehsas jaanta tha so chup raha main main us ke wade usi ki qasmen use sunata to mar na jata main chand taswir khat purane liye abhi tak to ji raha hun agar main un ko kabhi jalata tumhein bhulata to mar na jata wo ek sahafi jo sach ko likhte nai hukumat se dar gaya tha khilaf ho kar wahi hukumat ko sach dikhata to mar na jata wo hijr tera wo din gharibi ke aur logon ka jaan khona main in hawadis se bach gaya hun jo marna aata to mar na jata