is se aage jo bacha kirdar wo lachaar hai khatm hai jis par kahani ye wahi diwar hai waqt par bas is liye leta nahin hun main dawa puchh le wo kis se kaisa ab mera bimar hai bhuk ghurbat sar chhupane ko jahan par ghar nahin log aise kis se bolen zindagi dushwar hai yar bichhda hai mera kuchh roz pahle gham mein hun in dinon mere liye duniya badi bekar hai man se ro ke kah rahi thi ek ladki ranj mein man mujhe jis se mohabbat hai wahi darkar hai kah rahi thi dost se 'rahil' milega ek din bap mera is qabile ka abhi sardar hai