jo hona hai wahi hota rahega kabhi hansta kabhi rota rahega bacha koi mukafat-e-amal se wahi katega jo bota rahega kuchh apna hi bigadega agar tu bharam apna miyan khota rahega tere aada nikal jaenge aage agar tu raat-din sota rahega tu apna bar-e-isyan kam se kam kar kahan tak bojh ye dhota rahega koi had bhi hai aakhir aansuon se kahan tak apna munh dhota rahega kahin tadbir se talta hai 'rizwi' likha taqdir ka hota rahega