sar se utre nahin phul manzil ki dhun ham-safar baat sun rah mein khar aaen to talwon se chun ham-safar baat sun dhup mein to safar sakht dushwar hai be-shajar rah ka sar ki khatir koi soch saya hi bun ham-safar baat sun rabta apna zarkhez mitti se rakh aur sarsabz rah kha gaya kitne sukhe darakhton ko ghun ham-safar baat sun kuchh bata dil ki dilli se kis lucknow ki taraf ja basen kaun basti hai jis par barasta hai hun ham-safar baat sun har qadam par amir is tarah thaharna sochna kis liye waqt chhalni hai aur is mein pani na pun ham-safar baat sun