jo hona tha hua shikwa gila kya mohabbat mein wafa kaisi jafa kya dil-e-mayus ye aah-o-buka kya shikasta saz ki aakhir sada kya mere aaghosh mein khele hain tufan main mauj-e-bahr-e-gham mein dubta kya jamal-e-barq hai jin ki tajalli nazar un se milaun main bhala kya na hushyaron na diwanon mein hain aap wo farmate hain mujh se aap ka kya tera wada kahan tak sath dega qayamat se milega silsila kya chura lin main ne danista nigahen bhari mahfil mein un ko dekhta kya nigah-e-naz ke mare hue hain hamare samne aab-e-baqa kya dil-e-betab aur tum se shikayat ye diwana hai is ki baat ka kya tumhin ne pher lin jab mujh se nazren zamana dil ko dega aasra kya wo khud chahen tujhe ye chahta hai 'wakil'-e-be-adab teri saza kya