junun ki aaD le kar aap se begana ho jae

junun ki aad le kar aap se begana ho jae
bahut hushiyar hai danista jo diwana ho jae

mazaq-e-ishq paiham laghzish-e-mastana ho jae
jise diwana kah den aap wo diwana ho jae

agar dast-e-ajal ka aasra pae na duniya mein
hujum-e-dard-o-gham se aadmi diwana ho jae

tumhaare dard ka gham ka alam ka soz-e-paiham ka
agar tartib de lun main to ek afsana ho jae

dobara tur par jab bhi naqab-e-rukh utha den wo
zamana shoala-ha-e-husn ka parwana ho jae

use labbaik kahti hai hayat-e-jawidan badh kar
jo gham par jaan de jo ishq ka diwana ho jae

nigah-e-naz mein ho kash shan-e-barhami paida
mukammal zindagi se maut ka afsana ho jae

use manzil se kya matlab zamana us ki manzil hai
khayal-e-manzil-e-maqsad se jo begana ho jae

'wakil' ab tak sadaen tur ki mahfil se aati hain
jise kuchh hosh mein rahna ho wo diwana ho jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close