jo hua 'jaun' wo hua bhi nahin yani jo kuchh bhi tha wo tha bhi nahin bas gaya jab wo shahr-e-dil mein mere phir main is shahr mein raha bhi nahin ek ajab taur haal hai ki jo hai yani main bhi nahin khuda bhi nahin lamhon se ab muamla kya ho dil pe ab kuchh guzar raha bhi nahin jaaniye main chala gaya hun kahan main to khud se kahin gaya bhi nahin tu mere dil mein aan ke bas ja aur tu mere pas aa bhi nahin