hujum-e-nala hairat aajiz-e-arz yak-afghan hai khamoshi resha-e-sad-nistan se khas-ba-dandan hai takalluf-bar-taraf hai jaan-sitan-tar lutf-e-bad-khuyan nigah-e-be-hijab-e-naz tegh-e-tez-e-uryan hai hui ye kasrat-e-gham se talaf kaifiyat-e-shadi ki subh-e-id mujh ko bad-tar az-chaak-e-gareban hai dil o din naqd la saqi se gar sauda kiya chahe ki us bazar mein saghar mata-e-dast-gardan hai gham aaghosh-e-bala mein parwarish deta hai aashiq ko charagh-e-raushan apna qulzum-e-sarsar ka marjaan hai takalluf saz-e-ruswai hai ghafil sharm-e-ranai dil-e-khun-gashta dar dast-e-hina-aluda uryan hai 'asad' jamiyat-e-dil dar-kinar-e-be-khudi khush-tar do-alam aagahi saman-e-yak-khwab-e-pareshan hai