jo hum anjam par apni nazar ai baghban karte chaman mein aag de dete qafas ko aashiyan karte ajal kambakht aati hai nahin dar par tere warna hum aisi maut par bhi zindagani ka guman karte sahi ifsha-e-raaz-e-ishq lekin ye musibat hai na karte sajda tere dar par aakhir to kahan karte hamein dair-o-haram mein qaid rakkha bad-nasibi ne jahan sajde ki gunjaish na thi sajda wahan karte uda lati hawa jo kuchh khas-o-khashak-e-zindan mein unhin tinkon pe hum apne nasheman ka guman karte ye ai fikr-e-rihai kis bala mein hum ko la dala qafas mein dahke aazadi se zikr-e-ashiyan karte