isi ka nam hai diwana banna aur bana dena buton ke samne ja kar khuda ka wasta dena nigah-e-shauq ka badh kar naqab-e-rukh utha dena tere jalwe ka barham ho ke ek bijli gira dena khudai hi khuda ki khak se insan bana dena tumhaara khel hai insan ko mitti mein mila dena main apni dastan-e-dard-e-dil ro ro ke kahta hun jahan se chahna tum sunte sunte muskura dena mazaq-e-shikwa achchha hai magar ek shart hi ai dil yahan jo yaad kar lena wahan ja kar bhula dena wafa be-shak jafaon ka badal hai lekin ai zalim bahut mushkil hai mujh se rone wale ko hansa dena zaban ko shikwa-sanji ka maza hi baat kahne do main tum se ye nahin kahta ki tum dad-e-wafa dena yahi mani hain ai 'shaukat' buland-o-past ke shayad nigahon par chadhana aur nazron se gira dena