jo hum se tu mila karega banda tujh ko dua karega bosa tu de kabhu meri jaan maula tera bhala karega hum tum baithenge pas mil kar wo din bhi kabhu khuda karega dil tere kaam ka nahin to banda phir le ke kya karega pachhtaega mil ke 'soz' se han hum kahte hain bura karega hai shokh-mizaj 'soz' wallah chhedega use bura karega