jo is tarah se main khud ko pachhad leta hun bana banaya talluq bigad leta hun main na-samajh to nahin ranjishon se ladta phirun main rukh badal ke mohabbat ki aad leta hun jo gard zehn pe girti hai bad-gumani ki main gahe gahe use khud hi jhad leta hun main rahaton se kabhi mutmain nahin hota main soch soch ke khushiyan ujad leta hun ye dard bhi yunhi atkheliyan nahin karte kabhi kabhi main inhen chhed-chhad leta hun tumhaare dukh mein koi aur dukh milata nahin main shab guzar ke khema ukhad leta hun kitab-e-zist tujhe gham nahin thamata koi main din guzar ke safhe ko phad leta hun