hum aakhiri hain hamare jaise so ab hamara khala banega na main hi bar-e-digar hun mumkin na tujh sa hi dusra banega ye tang zehnon se baat kar ke rukawaten hi na dur kar len kai mizajon ki khair hogi agar ye rasta khula banega qasam teri be-niyaziyon ki main sab ye pahle hi jaanta tha mujhe kisi ne kaha hua tha ye tere hathon khuda banega nahin mohabbat wo kar-e-imkan dua pe rakkhen khuda pe chhoden tum is ko farzi se mat banao moamla masala banega tere hunar ki ho khair aazar hamein jo todo to dhyan rakhiyo hamari mitti to bhur-bhuri hai hamari mitti se kya banega