jo ishq ko khel samajhte hain wo gham ki lazzat kya jaanen

jo ishq ko khel samajhte hain wo gham ki lazzat kya jaanen
jo khoe gae hain wahdat mein irfan-e-kasrat kya jaanen

iflas ke mare hum kyunkar apne dil ko bahlate hain
aashufta-e-daulat kya jaanen khwabida-e-rahat kya jaanen

shaida hai koi taraqqi ka khaif hai koi tanazzul se
daur-e-gardun-e-mudawwar ki ye log ahmiyat kya jaanen

munkir hain khuda ki hasti se jo aap khuda ban baithe hain
iman ki rifat kya jaanen masti ki wusat kya jaanen

bazi-e-hayat-o-maut mujhe aari nahin maqsad-e-aula se
parde ke pichhe kya kya hai be-nur basirat kya jaanen

har qaul-o-feal do-alam ka wo ek muharrik-o-nazim hai
hasanat-e-nazm se be-bahra sheriyat-e-khilqat kya jaanen

har mausam ka husn apna hai har din ka nashsha apna hai
har ahd ki apni qimat hai hum farq ki azmat kya jaanen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close