kashmakash achchhi hai lekin kashmakash paiham na ho neamat-e-uzma sukun hai gar sukun be-dam na ho aadmi ke waste be-kaif ho jae jahan zindagi ke shadiyane maut ka matam na ho hain yaqin-o-be-yaqini ke judagana maze qalb mein un ki bashaarat ho magar baham na ho teri shakhsiyyat hai la-fani use rakh barqarar zat mein mahbub aur murshid ki bhi mudgham na ho guzre hain din aaj tak ek shan se ek tarz se meri khuddari ka ya-rab sar-nigun parcham na ho dastgir insan ka insan agar hone lage to amiri aur muhtaj ka ye aalam na ho chahta hai gar ki kat jae maze se zindagi aadmi baatin mein daman-gir-e-besh-o-kam na ho