jo jaan se hai aziz use tu juda bhi rakh khushiyon ke munh mein dard bhara zaiqa bhi rakh har rasta kahin na kahin mud hi jaega rishton ke bich thoda bahut fasla bhi rakh yun bhi na ho ki jo bhi uthe tujh mein jhank le khud mein na yun simat koi dard-ashna bhi rakh aisa na ho ki taza hawa ajnabi lage kamre ka ek-adh daricha khula bhi rakh shakh aur phul rishta-e-yak-lamha ke asir apni talab ke samne ye aaina bhi rakh