jo jhuk ke milte the jalson mein mehrban ki tarah hue hain sar pe musallat wo aasman ki tarah mujhe jo kholo to sahil qarib kar dunga samundaron mein main rahta hun baadban ki tarah tumhaare shahar ke jabri nizam mein kuchh log kabhi hanse bhi to aawaz thi fughan ki tarah hai tez dhup safar lamba par tumhaari yaad hai ek saya mere sar pe saeban ki tarah na koi patta hara hai na koi phul khila bahaar bhi mere ghar aai hai khizan ki tarah na saf zehan na chehre ke khal-o-khat raushan fazaon mein hai har ek shai dhuan dhuan ki tarah jahan bhi jaun main wo dasht ho ki dariya ho duaen man ki chalen sath pasban ki tarah 'nazar' ke nam ka ek shakhs kuchh jununi sa akela dasht mein chalta hai karwan ki tarah