bata ai zindagi tere parastaron ne kya paya utha kar naz tere naz-bardaron ne kya paya wo kante hi sahi kuchh to diya hum ko bayaban ne magar gulshan se phulon ke talab-garon ne kya paya zara malum to kije khirad par marne walon se ki thukra kar junun ko in ziyan-karon ne kya paya kaleja tera phat jaega waiz fart-e-hairat se bata dun main agar tujh ko gunahgaron ne kya paya bayaban gham na kar be-faizi-e-abr-e-bahaaran ka tera daman hai gar khali to gulzaron ne kya paya gham-e-hasti gham-e-jaanan gham-e-duniya gham-e-dauran mita kar mujh ko 'fazil' in sitam-garon ne kya paya