jo jo shuur-e-zehn pe aata chala gaya dil kulfaton ke dagh mitata chala gaya la kar bahaar-e-nau ke gul-e-nudrat-e-khayal sahra ko main chaman sa banata chala gaya allah ka ye fazl hai mujh pe ki bahr-e-ilm kuze se mere dil mein samata chala gaya alfaz ke guhar se ghazal ki zamin ko main jaise falak-nazhad banta chala gaya tar-e-nafas pe chhed ke ek naghma-e-hayat main aagahi ke saz pe gata chala gaya ulfat ki rah kar ke zamane pe aashkar 'ahsan' main khar-e-rah hatata chala gaya