ai dil na sun afsana kisi shokh hasin ka na-aqibat-andesh rahega na kahin ka duniya ka raha hai dil-e-nakaam na din ka is ishq-e-bad-anjam ne rakkha na kahin ka hain tak mein ek shokh ki duz-dida nigahen allah nigahban hai ab jaan-e-hazin ka haalat dil-e-betab ki dekhi nahin jati behtar hai ki ho jae ye paiwand zamin ka go qadr wahan khak bhi hoti nahin meri har waqt tasawwur hai magar dil mein wahin ka har aashiq-e-jaan-baz ko dar ai sitam-ara talwar se badh kar hai teri chin-e-jabin ka kuchh sakhti-e-duniya ka mujhe gham nahin 'ahsan' khatka hai magar dil ko dam-e-baz-pasin ka