jo justuju karun har raaz pa bhi sakta hun main kaenat se parda utha bhi sakta hun mere buzurgon ne bakhshi hai ek dua aisi bichhad gae hain jo un ko mila bhi sakta hun na koi zaicha khinchun na dekhun hath tera main tere bare mein sab kuchh bata bhi sakta hun bas ek raat main sajde mein gir ke roya tha ab aasman ko zamin par jhuka bhi sakta hun abhi to soch safar hai azal ki samt magar palat ke su-e-abad phir se ja bhi sakta hun mujhe khuda ne wo bakhsha hai shairi ka hunar jo khwab dekhta hun wo dikha bhi sakta hun ye manta hun ki aarif hun karbala se dur magar main hur ki tarah sar kata bhi sakta hun