na sirf itna ki tund-o-tez dhaara dekhta hun main

na sirf itna ki tund-o-tez dhaara dekhta hun main
jo katta ja raha hai wo kinara dekhta hun main

pahunch kar sarhad-e-irfan pe aankhen bujhne lagti hain
ye kis be-e'tibari ka nazara dekhta hun main

sabhi nazren to hain bujhte charaghon tak jami lekin
bisat-e-anjuman ko para-para dekhta hun main

bhadak uthte hain jab shoale to hairani nahin hoti
faza ki god mein palta sharara dekhta hun main

manazir kab badalte hain jagah tabdil hone se
wahi ek khel hai jis ko dobara dekhta hun main

wahan se kyon meri sochon pe tum ilzam dharte ho
yahan aa kar to dekho kya nazara dekhta hun main


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close