jo kahin tha hi nahin us ko kahin dhundhna tha hum ko ek wahm ke jangal mein yaqin dhundhna tha pahle tamir hamein karna tha achchha sa makan phir makan ke liye achchha sa makin dhundhna tha sab ke sab dhundte phirte the use ban ke hujum jis ko apne mein kahin apne tain dhundhna tha justuju ka ek ajab silsila ta-umr raha khud ko khona tha kahin aur kahin dhundhna tha nind ko dhund ke lane ki dawaen thin bahut kaam mushkil to koi khwab hasin dhundhna tha dil bhi bachche ki tarah zid pe ada tha apna jo jahan tha hi nahin us ko wahin dhundhna tha hum bhi jine ke liye thoda sukun thoda sa chain dhund sakte the magar hum ko nahin dhundhna tha