tir nazron mein to abru mein kaman dhundta hun us ki aankhon mein gai rut ke nishan dhundta hun nashsha-e-qurb se badh kar hai teri khoj mujhe tu jahan mil na sake tujh ko wahan dhundta hun taza warid hun miyan aur ye shahr-e-dil hai kuchh kamane ko yahan kar-e-ziyan dhundta hun shak ki be-samt masafat hi mujhe mar na de jo yaqin mujh ko dila de wo guman dhundta hun apne andar mujhe karbal ka saman lagta hai sar-bulandi ke liye nok-e-sinan dhundta hun asr-e-hazir bhi lage harf-e-mukarrar 'jazib' apne hone ke liye taza jahan dhundta hun