jo kaho tum so hai baja sahab hum bure hi sahi bhala sahab sada-zehni mein nukta-chin the tum ab to hain harf-ashna sahab na diya rahm tuk buton ke tain kya kiya hae ye khuda sahab bandagi ek apni kya kam hai aur kuchh tum se kahiye kya sahab mehr-afza hai munh tumhaara hi kuchh ghazab to nahin hua sahab khat ke phatne ka tum se kya shikwa apne talea ka ye likha sahab phir gain aankhen tum na aan phire dekha tum ko bhi wah-wa sahab shauq-e-rukh yaad-e-lab gham-e-didar ji mein kya kya mere raha sahab bhul jaana nahin ghulam ka khub yaad khatir rahe mera sahab kin ne sun sher-e-'mir' ye na kaha kahiyo phir hae kya kaha sahab