kya main jata hun sanam chhut tere dar aur kahin le qasam mujh se jo mera ho guzar aur kahin raftagi ka hai ye aalam ki tere waqt-e-khiram panw jate hain kahin aur kamar aur kahin subh par wasl ki thahri hai shab-e-hijr tere jawen jaldi se guzar chaar pahar aur kahin wadi-e-qais mein jo le gai mujh ko wahshat dil ke bahlane ki ja thi na magar aur kahin us ke kuche ko tu ai aah ghanimat hi samajh sach to ye hai nahin itna bhi asar aur kahin hum hain aur khosha-e-parwin ka tamasha hama-shab ja ke jhamkaiye ye aqd-e-guhar aur kahin la-ubaali meri dekhe hai tu aaina kahan dil tera aur kahin hai to nazar aur kahin wada-e-wasl diya id ki shab hum ko sanam aur tum ja ke hue shir-o-shakar aur kahin samne us ke lagun rone to jhunjhla ke kahe yan se le jaiye ye dida-e-tar aur kahin chaman-e-lala-satan mein mujhe jaane de saba change honge na mere dagh-e-jigar aur kahin tafraqa baad-e-khizan ne ye chaman mein dala gul kahin aur pada hai to samar aur kahin barg-o-bar ye tere kuche mein to lata hi nahin ja ke bithlaweng khwahish ka shajar aur kahin aise ghabrae ki haalat na rahi kuchh baqi dekh aae jo use shams o qamar aur kahin gar main bad-nam hua us ki gali mein to hua yaro ab yan se na jawe ye khabar aur kahin 'mushafi' main hun wo sar-gashta ki khurshid ki tarah sham gar aur kahin ki to sahar aur kahin