jo kal hairan the un ko pareshan kar ke chhodunga main ab aaina-e-hasti ko hairan kar ke chhodunga dikha dunga tamasha di agar fursat zamane ne tamasha-e-farawan ko farawan kar ke chhodunga kiya tha ishq ne taraj jis sehn-e-gulistan ko main ab us par mohabbat ko nigahban kar ke chhodunga ayan hai jo har ek zarre mein har khurshid mein 'ajmal' main us parda-nashin ko ab numayan kar ke chhodunga