jo khali tha hamare dil ka kona bhar gaya hai nazar ka tir yani ghaw gahra kar gaya hai kisi lab ke tabassum ki ada honi hai qimat ek aansu nok-e-mizhgan par jo aakar mar gaya hai teri jaanib se patthar ab bhi mujh tak aa rahe hain inayat rok de kasa labaalab bhar gaya hai tamannao tumhein bhi laut jaana chahiye tha junun bhi chhod kar sahra-nawardi ghar gaya hai musafir ishq ka hasrat ke dariya mein gaya kyon use hargiz wahan jaana nahin tha par gaya hai wahi dil par hukumat kar raha hai mere 'kausar' jo is ka mustahiq tha taj us ke sar gaya hai