jis manzil-e-maqsud pe dam TuT raha hai

jis manzil-e-maqsud pe dam tut raha hai
lagta hai mera khwab-e-iram tut raha hai

ashkon pe mujhe zabt ka ek fakhr tha lekin
wo sang-e-yaqin teri qasam tut raha hai

laila se kaho rah-e-junun mein nikal aae
sahra mein kahin qais ka dam tut raha hai

har shauq har ummid har ek aarzu salim
ek dil tha tere zer-e-qadam tut raha hai

ek bar mere chand ko gahnaya tha is ne
suraj pe yun raaton ka sitam tut raha hai

ek umr guzari hai teri yaad mein 'kausar'
aa ja ki meri zulf ka kham tut raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close