jo khayal the na qayas the wahi log mujh se bichhad gae jo mohabbaton ki asas the wahi log mujh se bichhad gae jinhen manta hi nahin ye dil wahi log mere hain ham-safar mujhe har tarah se jo ras the wahi log mujh se bichhad gae mujhe lamha-bhar ki rafaqaton ke sarab aur sataenge meri umr-bhar ki jo pyas the wahi log mujh se bichhad gae ye khayal sare hain aarzi ye gulab sare hain kaghzi gul-e-arzu ki jo bas the wahi log mujh se bichhad gae jinhen kar saka na qubul main wo sharik-e-rah-e-safar hue jo meri talab meri aas the wahi log mujh se bichhad gae meri dhadkanon ke qarib the meri chah the mera khwab the wo jo roz-o-shab mere pas the wahi log mujh se bichhad gae