ek teri yaad se yaadon ke khazane nikle zikr tera bhi bhi mohabbat ke bahane nikle hum ne samjha tha ki dil hai tera maskan lekin jaane walon ke kahin aur thikane nikle phir mere kan mein gunji hain duaen teri teri aaghosh mein gham apne chhupane nikle ek khushbu ki tarah gahe-ba-gahe aana kitne sundar tere kuchh rup suhane nikle dil mein kuchh tutne lagta hai tere zikr ke sath chand aansu teri ulfat ke bahane nikle main to ek rup hun tera yahi kafi hai 'saba' ab isi rang se is dil ko sajaane nikle